Friday, October 21, 2011

तेरे पास आने को जी चाहता है


तेरे  पास  आने  को  जी  चाहता  है
नये ज़ख्म  खाने  को  जी  चाहता  है
इधर  आये  शायद  वो  मौज -इ -तरन्नुम
ग़ज़ल  गुन्गुअने  को  जी  चाहता  है
ज़माना  मेरा  आज़माया  हुआ  है
तुझे  आज़माने  को  जी  चाहता  है
वही  बात  रह  रह  के  याद  आ  रही  है
जिसे  भूल  जाने  को  जी  चाहता  है
लबों  पर  मेरे  खेलता  है  तबस्सुम
जब आंसू  बहाने  को  जी  चाहता  है

Saal Main Koi Pal

img333/3936/heartsx2ph5ae.gif  Saal Main Koi Palimg333/3936/heartsx2ph5ae.gif
 

koi pal
is saal main koi pal to aisa ho
jo tera mera ho
jis main koi teesra na ho
hum dair tak ik doosray se batain karain
aur in baton ko sun `nay wala koi na ho
bas main aur tum hon
yunhi baithay baithay kis bhi choti si baat pe
hum be tahasha hans parain
hanstay hanstay aankhon main se
aansu nikal parain aur
in aansuon ko dekhnay wala koi na ho
aur bas main aur tum hoon
kaash is saal main koi pal to aisa ho
jo sirf tera mera ho

Aankhain Khoob Rooti Hain

Tumhain Dil Say Bhulatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..
Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Jaan,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..
Teri Tasweer, Adhooray Khat To Jala Diey Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..
Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
Parenday Jab Satatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..
K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..
Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..

Saahil Ki Woh Mitti K Jis Pay Khoon Hathoon Say,
Wafa Likh Kar Mitatay Hain To " Aankhain Khoob Rooti Hain