Thursday, July 29, 2010

Waada yaad rakhna

Kiya hai tumne hum se ek Haseen waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna
Ab na hamain rulana tum, ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itna ziyada yaad rakhna
Dil to na dukhaoge mujhe chorr to na jaoge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna
Tum jo chorr jaoge hum to mar hi jayenge
Tumhare dam se Zindagi hai sirf itna yaad rakhna
Chahton ki Duniya main Roshni tum hi se hai
  Dil torr ke hamain chorr ke kahin na jaana yaad rakhna

No comments:

Post a Comment